Kya Eid-Al-Adha / Bakra Eid Ke Dinon Mein Janwar Ki Qurbani Karna Zaroori Hai Yah Phir Qurbani Ki Raqam Kisi Ghareeb Ko Da Dain
Janwar Ki Qurbani Zaroori Hai Yah Phir Qurbani Ki Raqam Ko Kisi Ghareeb Ko Sadqa Dena
Eid-Al-Adha ke dino mein Janwar ki Qurbani hi karna ho gi kyun ke yeh ek makhsoos ibadat hai. Allah ka hukam hai. Ais liye janwar ki qurbani ki bajaye sirf qurbani ki raqam kisi ghareeb ko deny se qurbani ada nahi ho gi.
Hadees (Hadith) se pata chalta hai ke Eid-Al-Adha ke dinon mein Allah ke nazdeek janwar ke khoon bahnae se baitar koi ibadat nahi hai.
Agar aap kisi ghareeb ko sadqa dena chahte hain tou janwar ki qurbani ke sath sadqa bhi kar dain.
کیا عید الاضحیٰ کے تین دنوں میں جانور کی قربانی کرنا ضروری ہے یا پھر قربانی کی رقم کسی غریب کو دینے سے قربانی کی عبادت ادا ہو جائی گی؟
قربانی ایک مخصوص عبادت ہے اور اللہ کا حکم ہے اس لیے جانور کی قربانی ہی ادا کرنا ہو گی۔ محض غریب کو قربانی کی رقم صدقہ کرنے سے قربانی ادا نہیں ہو گی۔ اگر آپ کسی غریب کو صدقہ دینا چاہتے ہیں تو جانور کی قربانی کے ساتھ کسی غریب کو صدقہ بھی کر دیں۔ اللہ ہمیں قربانی کی توفیق عطا کرے۔ آمین!
ایک حدیث ہے جس کا مفہوم ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ قربانی کے دنوں میں اللہ کے نزدیک جانور کے خون بہا دینے سے بہتر کوئی عمل نہیں ہے۔
Comments
Post a Comment