Posts

Showing posts from November, 2022

Kisi Ki Tahreef Karna Ya Munh Par Tahreef Karna Kab Jaiz Hai

Image
Kisi Ki Tahreef Karna Kab Jaiz Hai / Kisi Kay Munh Par Tahreef Karna Kya Haram Hai? Kisi ki tahreef karna ya ais kay munh par tahreef karna ais surat mein jaiz hai jab aap ais ki khushamad na kar rehay hon. Aap ais ki tahreef mein Mubaligha Aarai (Bay Thaasha Tareef) say kam na lay rehay hon balkay jo sifat ais mein hai ausi ko aitidal se bayan kar rehay hon aur aap jis ki tahreef kar rehay hain wo kam zarf ka na ho. کسی کی تحریف کرنا یا اس کے منہ پر تحریف کرنا کسی کی تحریف کرنا یا اس کے منہ پر تحریف کرنا اس صورت میں جائز ہے جب آپ اس کی خوشامد یحنی چاپلوسی یا مکھن نہ لگا رہے ہوں۔ آپ اس کی تحریف کرنے میں مبالغہ آرائی سے کام نہ لے رہے ہوں بلکہ جو صفت ہے اس میں اس کو اعتدال سے بتا رہے ہوں اور آپ جس کی تحریف کر رہے ہیں وہ کم ظرف کا نہ تو ایسی تحریف کرنا اسلام میں جائز ہے۔ YouTube Video

Bara Bakheel (Kanjoos) Kon Hai?

Image
Bara Bakheel (Stingy) ya Bara Kanjoos wo hai jo dosron ke maal-doulat par nazar rakhay howay ho. Ais ka hal yeh hai ke dosron ke maal par nazar na rakhain aur mehnat karen kamai ke liye nateeja Allah par chore dain. بڑا بخیل (کنجوس) کون ہے؟ بڑا بخیل یا بڑا کنجوس وہ ہے جو دوسروں کے مال پر نظر رکھے ہوئے ہے۔ اس کا اصل حل یہ ہے کہ وہ دوسروں کے مال پر نظر رکھنا چھوڑ دے اور اپنی محنت سے کمانے کی کوشش کرے اور نتیجہ اللہ پر چھوڑ دے ۔ YouTube Video

Sabar-E-Jameel Ki Definition / Matlab

Image
Sabar-E-Jameel yeh hai ke insan par Allah ki tarf se jo bhi mushkilat-o-musaib aayen ais par wo apni zuban aur amal se zara barabar bhi Allah se shikwa-o-shikayat na karay. Dil se insan ka pareshan hona aur rona insan ke ikhtiyar mein nahi hai lakin zuban se shikwa-o-shikayat karna aur na shukari aur kufria alfaz na nikay jayen. صبرِ جمیل کا مطلب صبرِ جمیل یہ ہے کہ اللہ کی طرف سے انسان پر جو بھی مشکلات و مصائب آئیں اس پر وہ ذرہ برابر شکوہ و سکایت نہ کرے اور اللہ کی رضا میں راضی رہے۔ ایسے حالات میں دل کا غمزدہ ہونا یا کسی کا رونا ایک فطری عمل اور بے اختیاری ہے۔ لیکن مشکالات اور مصائب میں ناشکری یا کفریہ الفاط ادا کرنا بے صبری ہے۔ اللہ تحالی ہمیں ان حالات میں صبرِ جمیل عطا کرے۔ آمین! YouTube Video

Sabar Aur Shukar Mein Kya Farq Hai

Image
Sabar Ka Matlab Aur Maani (Meaning & Definition) Sabar ke maani ruknay aur apnay upar qabu rakhnay ke hain. Sabar yeh hai ke insan ko jo bhi mushkilat-o-musaib aaye ain par sabar karay aur Allah ki Raza mein Razi rehe. Shukar Ka Matlab Aur Maani (Meaning & Definition) Suhkar ke maani yeh hain ke Ehsan manana aur Inam milnay par tahreef karna. Shukar sirf zuban se na ada kiya jaye balkay jo bhi Allah ki nimat milay ausay dosron tak bhi ponchaya jaye. صبر اور شکر میں کیا فرق ہے؟ صبر کے محنی اور مطلب صبر کے محنی رکنے اور اپنے اوپر قابو پانے کے ہیں تاکہ ہم شریحت کی خلاف ورزی نہ کریں۔ صبر یہ ہے کہ انسان کو جو بھی مشکلات و مصائب آئیں اس پر وہ صبر کرے۔ عام حالات میں اللہ سے صبر نہیں مانگنا چاہیے کیونکہ ہم اللہ کے عاجز بندے ہیں اور بندے کو عاجزی ہی کرنی چاہیے۔ شکر کے محنی اور اس کا کیا مطلب ہے؟ شکر کے محنی احسان ماننے اور انحام ملنے پر اس کی تحریف کرنا۔ شکر یہ ہے کہ انسان کو جو نحمتیں اللہ نے عطا کی ہیں وہ نہ صرف زبان سے اللہ کا شکر ادا کرے بلکہ جو بھی نحمتیں اس ک

Takabbur Aur Khud Pasandi Mein Kya Farq Hai (Meaning - Matlab - Maani) In Islam In Urdu

Image
Takabbur Ka Matlab (Meaning) Kya Hai Takabbur ka maani Bara Samajhna, Ghuroor karne ke hain. Takabbur yeh hai ke apnay aap ko bara samajhna aur dosron ko apnay se haqeer janana aur apnay se kam tar samajhna. Khud Pasandi Ka Matlab (Meaning) Kya Hai Islam Mein Khud Pasani ka maani Khud Satayi yah Khud Beeni ke hain. Khud Pasandi yeh hai ke apnay aap ko kamil samajhna aur yeh samajhna ke jo mere mein khubiyan hain wo dosron mein nahi hain. Khud Pasandi, Takabbur ki aik shakh hai. اسلا میں تکبر اور خود پسندی میں فرق تکبر کا مطلب اور محنی تکبر کے محنی بڑائی کرنا، غرور کرنا کے ہیں۔ تکبر یہ ہے کہ اپنے آپ کو دوسروں سے بڑا سمجھنا اور دوسروں کو حقیر سمجھنا اور اپنے سے کم تر جاننا ۔ خود پسندی (عُجُبْ) کے محنی اور مطلب کیا ہے؟ خود پسندی کے محنی خود ستائی اور خود بینی کے ہیں اور اس کا مطلب یہ ہے کہ اپنے آپ کو کمال سمجھنا اور اپنے آپ کو یہ سمجھنا کہ جو خوبیاں میرے میں ہیں وہ دوسروں میں نہیں ہیں۔ خود پسندی تکبر کی ایک شاخ ہے۔ Takabbur Aur Khud Pasandi Ki Hadees تکبر او

Achay Aur Buray Ikhlaq (Etiquettes) Mein Kya Farq Hai (Meaning & Maani)

Image
Ikhlaq Kya Hain In Islam In Urdu Ikhlaq Khulaq ki jama hai aur ais ka matlab ye hai ke aap ki natur (fitrat) kaise hai. Aap ki wo tabiyat jis par aap ko dhala giya hai. Jo aap ke undar ki jo fitrat (nature) hai. Aap ki aadatain kaise hain aur yeh Ikhlaq achay bhi ho saktay hain aur buray bhi. Achay Ikhlay Kya Hain Khush Ikhlaq / Achay ikhlaq yeh hain ke aap ki aadatain achi hain. Gusse ke waqt gussa aana achay ikhlaq hain. Bad Ikhlaq / Buray Ikhlaq yeh hain ke app ki aadatain buri hain hain. اچھے اخلاق اور بُرے اخلاق میں کیا فرق ہے؟  اسلام میں اخلاق کیا ہیں؟ اخلاق خلق کی جمح ہے۔ اخلاق یہ ہے کہ آپ کو کس طبیعت طباعت پر ڈھالہ گیا ہے، آپ کی عادتیں کیسی ہیں؟ آپ کی فطرت کیسی ہے؟ یہ عادتیں اچھی بھی ہو سکتی ہیں اور بُری بھی۔ اچھے اخلاق کیا ہیں؟ اچھے اخلاق / خوش خلقی یہ ہے کہ آپ کی عادتیں اچھی ہیں۔ بُرے اخلاق کیا ہیں؟ بُرے اخلاق / بدخلق یہ ہیں کہ آپ کی عادتیں بُری ہیں۔ YouTube Video

Musalman Aur Momin Mein Kya Farq Hai

Image
Musalman Aur Momin Mein Farq (Difference) Muslim VS Momin Momin wo hai jis ka Aqeedah durust ho jabaky Musalman (Muslim) wo hai jo Islam par amal karta ho. Lughwi Maani mein momin aur musalman mein farq hai lakin Istalahi Maani mein ain mein koi farq nahi hai. Aam halat mein Musalman wo hai jo Momin bhi ho yani jis ka Aqeedah bhi dursut ho aur ais ka amal bhi durust ho. مسلمان اور مومن میں کیا فرق ہے؟  مومن وہ ہے جس کا عقیدہ درست ہو جبکہ مسلمان وہ ہے جو اسلام پر عمل کرتا ہے۔ مومن اور مسلمان میں لغوی محنی کے لحاظ سے یحنی ڈکشنری محنی کے لحاظ سے فرق ہے لیکن اصطلاعی محنی میں کوئی فرق نہیں ہے۔ عام حالات میں مسلمان وہ ہے جس کا عقیدہ بھی درست ہو اور عمل بھی۔ YouTube Video

Sadqa Aur Zakat Ka Tarika Kya Hai

Image
Zakat saal meib aik bar Sahab-E-Nisab par farz aur zakat Islam ka aik Rukan hai. Sadqa do tarah ke hote hain Sadqa-E-Wajiba hote hain aur Sadqa-E-Nafila. Sadqa-E-Wajiba mein Zakat shamil hai. Sadqa-E-Nafila mein Khirat shamil hai jo kisi ko bhi de ja sakti hai. زکوٰۃ صاحبِ نصاب پر سال میں ایک دفحہ فرض ہے۔ صدقہ دو طرح کے ہوتے ہیں ایک صدقہِ واجِبہ اور ایک صدقہِ نافلہ ہے۔  YouTube Video | Islam Mein Sadqa Aur Zakat Ka Kya Tarika Hai? | Zakat Ke Masarif | Mufti Tariq Masood Sahab Bayan / Speech | مفتی طارق مسحود  صاحب بیان / سپیچ | زکوٰۃ اور صدقہ کا کیا طریقہ ہے؟ / زکوٰۃ کے مصارف

Contact Us

Name

Email *

Message *

Copyright © 2024 IlamOne TV All Rights Reserved.