Astaghfirullah Alladzi La Ilaha Illa Huwal Hayyul-Qayyum Wa Atubu Ilayhi In Arabic Urdu English (Texts - Translation - Pictures / Images)
Astaghfir Ullah-Alladhi La Ilaha Illa Huwal-Haiyul-Qayyumu, Wa Atubu Ilaihi / Astaghfirullah Alladzi La Ilaha Illa Huwal Hayyul Qayyum Wa Atubu Ilayhi Ki Fazilat / Meaning
Ain kalmat ko parhne (Padhne) ki bhut zyada Fazilat hai. Ain Kalmat mein word “Astaghfirullah” ke parhne se ham apne Gunahon ki Allah se mafi mangte hain jis ki wajah se agar hamari maafi sachi ho tou Allah hamain maaf kare ga, hamain Rizq Ki Tangi Se Nijat ata kare ga, barish nazil farmaye ga, Aulad ata farmaye ga.
Word “La Ilahaa Ila” mein Allah ki Wahdaniyat ka zikr hai aur ais ke parhne se Allah ki Wahdaniyat par iman pukhta hota hai.
Word “Huwal Hayyul Qayyum” mein Allah ke Zaat ka bataya gya hai ke Allah hamesha Zinda aur Qaim rakhne wala hai jab ke baqi sab fanaa hone wale hain. Ais tarah ham maut ko yad karte hain aur ais dunya se raghbat khatam hote hai aur ham rohani tor par mazboot hote hain.
Word “Atubu Ilayhi” mein tauba ka zikr hai ke ke ham Allah ke hazoor tauba karte hain kyun ke sirf Allah hi tauba ko qabool karne wala hai. Ais liye agar ham sachi tauba kren gain tou Allah hamare tauba ko qabool kare ga. Ais se hamare andar Allah ki mohabbat paida ho gi aur hamare gunah maaf hon gain.
استغفراللہ اللہ زی لا الہ اللہ و ا توبہ الیہ کی فضیلت
اِن گلمات کو پڑھنے کی بہت زیادہ فضیلت ہے۔ ان کے پڑھنے سے انسان کا تحلق اللہ سے مضبوط ہوتا ہے۔ انسان کے رزق کی تنگی دور ہوتی ہے۔ اللہ بارش نازل فرماتا ہے۔ اولاد سے نوازتا ہے۔ ان کلمات میں اللہ کی عظمت اور اس کی تحریف کی گئی ہے۔ اللہ ہی ایک محبود ہے اس کے سوا کوئی محبود نہیں ہے۔ وہ زندہ اور قائم و دائم ہے۔ انسان جب گناہ کرتا ہے اور پھر توبہ کرنا چاہتا ہے تو وہ صرف اللہ کے حضور توبہ کرتا ہے کیونکہ صرف اللہ ہی توبہ کو قبول کرتا ہے۔ وہ ہی سچی توبہ و استغفار کو قبول کرتا ہے۔ انسان کو مشکلات سے نجات دیتا ہے۔
Comments
Post a Comment