Posts

Showing posts from September, 2022

Agar Kapre Dhonay Ke Baad Khoon Ka Daagh Ya Nishan Ya Dhabbay Reh Gaye Hon Tou Kya Ain Kapron Mein Namaz Ho Jaye Gi

Image
Agar Kapdron (Kapron) Par Khoon Lag Jaye Tou Aise Dhonay Ka Kya Tarika Hai / Agar Kapre Par Khoon Lag Jaye Tou Aise Saaf Karne Ka Shari Hukum Kya Hai? Agar kapre (Kapde) par khoon lag jaye aur teen dafa achi tarah ragar kar dhonay, pani bahanay aur nichornay ke baad agar khoon ke daagh ya dhabbay reh jayen tou ain kapron mein Namaz Parhi ja sakti hai. Kapron ko sabon se bhi dhona zaroori nahi hai baitar hai ke sabon se dho liya jaye. اگر کپڑوں پر خون لگ جائے اور دھونے کے بحد خون کے داغ یا دھبے یا نشان رہ جائیں تو کیا ان کپڑوں میں نماز ہو جائے گی؟ اگر کپڑوں پر خون لگ جائے اور تین دفحہ اچھی طرح کپڑوں کو رگڑ کر دھونے، پانی کو بہانے اور نچوڑنے کے بحد اگر خون کے داغ یا دھبے رہ جائیں تو ان کپڑوں میں نماز ہو جائے گی۔ کپڑوں کو صابن سے دھونا ضروری نہیں ہے۔ بہتر ہے کہ صابن سے دھو لیا جائے۔ Dailymotion Video - Ask Mufti Tariq Masood Sahab | Aap Ke Masail Ka Hal | Solve Your Problems | Masail Session |   آسک مفتی طارق مسحود صاحب | آپکے مسائل کا حل |  سوال و جواب سیشن

Baby Shower In Islam In Urdu / Godh Bharai Ki Rasam In Islam In Urdu

Image
Baby Shower Aur Godh Bharai Ka Shari Hukum Kya Hai? New Baby Shower (Godh Bharai) Islam mein haram aur najaiz hai. Yeh bhut zyada besharmi aur beghairati ki baat hai. Godh bharai ki rasam Islam mein haram hai. Ais se tauba karni chahiye. بے بی شاور یا گود بھرائی کی شرعی حثیت بے بی شاور یا گود بھرائی اسلام میں حرام اور ناجائز ہے۔ یہ بہت زیادہ بے شرمی اور بے غیرتی والا کام ہے۔ اس سے توبہ کرنی چاہیے۔ Dailymotion Video - Ask Mufti Tariq Masood Sahab - Aap Ke Masail Ka Hal - Masail Session |  آسک مفتی طارق مسحود صاحب | سوال و جواب سیشن | آپکے مسائل کا حل

Nakhun (Nail) Katnay (Cut) Ka Sunnat Tarika In Islam In Urdu

Image
Nakhun Kab Katnay Chahiye / Nakhun Katnay Ka Sahih Tarika Jab nakhun bhar jain tou kaat lein Jumme ke din ka intezar mat karen. Agar koi din mutayyan karna hai tou phir Jumme ka din Azfal hai. Haath Ke Nakhun Katnay Ka Sunnat Tarika Haath ke nakhun katnay ka Sunnat tarika yeh hai ke pehle daen hath ke nakhun kaate jain aur phir baen haath ke nakhun kaate jain. Paon Ke Nakhun Katnay Ka Sunnat Tarika Agar paon ke nakhun katnay tou bhi pehle daen paon ke nakhun kaate jain aur phir baen paon ke kaate jain. ناخن کب کاٹنے چاہیں؟ اور ناخن کاٹنے کا مسنون طریقہ کیا ہے؟ ناخن جب بڑھ جائیں تو کاٹ لینے چاہیں جمحہ کے دن کا انتظار نہیں کرنا چاہیے۔ اگر کوئی دن متحین کرنا ہے تو پھر جمحہ کا دن افضل ہے۔ ہاتھ کے ناخن کاٹنے کا سنت طریقہ ناخن کاٹنے کا سنت طریقہ یہ ہے کہ پہلے دائیں ہاتھ کے ناخن کاٹے جائیں اور پھر بائیں ہاتھ کے کاٹے جائیں۔ پاؤں کے ناخن کاٹنے کا سنت طریقہ  پاؤں کے ناخن کاٹنے وقت بھی پہلے دائیں پاوں کے کاٹے جائیں اور پھر بائیں پاؤں کے ناخن کاٹے جائیں۔ Dailymotion Video - 

List Of 30 Kabira Gunah (Major Sin) In Islam In Urdu

Image
Quran aur Hadees (Hadith) mein Kabira Gunahon se bachne parr zor dya gya hai. Ais liye hamain Kabira Gunahon se bachna chahiye. Agar koi Kabira Gunah mein mubtala hai tou aise maut se pehle sachi tauba karni chahiye. Allah hamain Kabira Gunah se bachaye aur agar ho jain tou jald iz jald sachi tauba karni ki tofeeq ata kare. Ameen! List of Kabira Gunah / Major Sins List In Islam In Urdu 1. Shirk Karna 2. Namaz Ka Jaan Boojh Kar Qaza Karna 3. Waldain Ki Nafarmani Karna 4. Kisi Insan Ko Na Haq Qatal Karna 5. Gheebat Karna (Do Back Biting) 6. Ramzan Ke Roze Baghair Kisi Shari Uzar Ke Chorna 7. Zakaat Na Dena 8. Hajj Ki Adaigi mein Takheer Karna 9. Zina Karna 10. Shariat Ke Kisi Hukum Ka Mazaq Urana 11. Larkon Se Bad Kari (Bad Faile) Karna 12. Kisi Jandaar Ki Tasveer Banana 13. Sood Khana 14. Khawateen Ka Parda Na Karna 15. Jadu Karna 16. Hasad Karna 17. Najaiz Fashion Karna 18. Darhi Katna 19. Sharab Peena 20. Rishtedari Torna 21. Khud Kushi (Suicide) Karna 22. Teen (3) Talaq Dene Ke B

Makri (Spider) Aur Chipkali (Girgit / Chameleon) Ko Marna

Image
Makri Chipkali Aur Girgit Ko Marna Kya Haram Hai? Makri ko marna Islam mein jaiz hai. Makri jala bana kar ghar ko kharab karti hai aur insan ko tang karti hai ais liye aise soorat mein marna jaiz hai. Chipkali (Girgit / Lizard) ko bhi marna Islam mein jaiz hai. Chipkali ko pehle baar marne par zyada sawab hai. Jitne baar marte jain gain sawab kam hota jaye ga. Aziat se nahi marna chahiye. اسلام مِیں مکڑی اور چھپکلی یا گرگٹ کو مارنے کا شرعی حکم اسلام میں مکڑی اور چھپکلی یا گرگٹ کو مارنا جائز ہے۔ مکڑی چانکہ جھالے بنا کر گھر کی دیواریں خراب کر دیتی ہے اور انسان کو تنگ کرتی ہے اس لیے اس صورت میں اسے مارنا جئز ہے۔ اسی طرح چھپکلی یا گرگٹ کو جتنی جلد ماریں گیں اتنا زیادہ ثواب ملے گا۔ لیکن اذیت دے کر نہیں مارنا چاہیے۔ Chipkali Marne Ki Hadees (Hadith) چھپکلی مارنے کی احادیث ضرت ابوھریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو شخص چھپکلی کو پہلی مار میں مار ڈالے اس کو اتنا ثواب ہے اور جو دوسری مار میں مارے اس کو اتنا اتنا ثواب ہے لیکن پہلی بار سے ک

Baitay Ke Maal Par Baap Ka Haq / Baitay Ki Aamdani Par Walid Ka Haq Kitna Hai

Image
Aulad Ki Kamai / Zariya Aamdan Par Waldain Ka Haq / Baitay Ki Tankhawa Par Walid Ka Haq / Walid Ka Haq Baitay Ki Kamai Par Baitay ke mall-o-dolat par baap ka haq itna hai jis se bunyadi kharcha / zaroorat pori ho jaye agar Walid Mohtaram Sahab ka zariya aamdani na ho. Ais soorat mein agar baita baap ko bunyadi kharcha nahi de raha tou phir baap zabardasti bunyadi zaroorat ka karcha le sakta hai. Aise soorat mein bunyadi kharcha ada karna baitay par lazim hai. Agar baap ki aamdani ka zariya hai tou phir pehle baita ka apni aamdani par haq hai. Ikhlaqi tor par baitay ko chahiye ko wo apni sare aamdani apnay baap ko de de aur walid sahab ko bhi chahiye ke wo apne baitay ka bhi khial rakhain. بیٹے کی تنخواہ پر والد کا کتنا حق ہے؟ | بیٹے کے مال پر باپ کا حق بیٹے کے مال و دولت پر باپ کا حق یہ ہے کہ وہ بنیادی ضرورت کا خرچہ لے سکتا ہے اگر والد محترم صاحب کا کوئی ذریحہ محاش نہ ہو۔ اور اگر بیٹا اس سورت میں شرافت سے نہ دے تو پھر باپ زبردستی بنیادی خرچہ لے سکتا ہے۔ لیکن اگر والد صاحب

Jumma Ki Pehli Azan Ke Baad Business / Karobar Karna

Image
Agar Jumme Ko Patient Ki Wajah Se Pehli Azan Ke Baad Medical Store Kholna Kya Jaiz Hai   Jumma ki pehli azan ke baad business / karobar karna / Khareed O Farokht karna jaiz nahi hai lakin agar aap ka medical store hai aur agar aap kisi mareez / patient ko dawai nahi dete aur aise nuqsan ponchne ka khatara hair tou phir Jumma ki pehli Azan ke baad bhi dawai baich sakte hain. جمحہ کی پہلی اذان کے بحد کاروبار، تجارت کرنا کیا جائز ہے؟ جمحہ کی پہلی اذان کے بحد ہر طرح کا کاروبار کرنا، خرید و فروخت کرنا جائز نہیں ہے۔ البتہ اگر کسی ایسے کاروبار جیسے میڈیکل سٹور میں کسی مریض کو آگر دوائی نہ دی اور اسے نقصان پہچنے کا خطرہ ہے تو پھر دوائی بیچی جا سکتی ہے۔ Dailymotion Video - Ask Mufti Tariq Masood Sahab | Aap Ke Masail Ka Hal | Masail Session |  آسک مفتی طارق مسحود صاحب | آپکے مسائل کا حل | سوال و جواب سیشن

Ghusal Ke Faraiz - Sharait - Sunnatain - Masnoon Tarika - Dua Aur Masail

Image
Ghusl Kab Farz Hai / Ghusl Kab Farz Hota Hai Mard Aur Aurat Par In Islam In Urdu Ghusal aus waqt Farz hota hai jab ek Mard (Boy / Male / Man) ya aurat ko Ehtelam ho jaye. Jab ek aurat (Girl / Female / Lady / Woman) ko haiz aa jaye. Jab Shohar aur Biwi ne Mubashrat / Jima / Humbistari ki ho. Jab Shehwat se Mani / Semen Kharij (Discharge) ho jaye. Ais tarah jab mard aur aurat napak yah halat-e-janabat mein hon gain tou ain par ghusal farz ho jata hai. غسل اس وقت فرض ہوتا ہے جب احتلام ہو جائے یا زوجہ سے ہمبستری کی ہو۔   جب ایک لڑکی کو حیض آ جائے۔ جب شہوت سے منی خارج ہو جائے۔ جب کوئی لڑکا بالغ ہو جائے یحنی اسے احتلام ہو جائے یا لڑکی بالغ ہو جائے یحنی اسے ماہواری آ جائے تو غسل فرض ہو جاتا ہے۔ Ghusal Ki Masnoon Dua (Arabic, Urdu And English) غسل کی مسنون دعا (عربی، اردو اور انگلش) Dailymotion Video - Halat-E-Janabat / Napaki Mein Ghusal Ka Tarika | Ghusal Ka Farz Tarika | Mufti Tariq Masood Sahab |  غسل کب فرض ہوتا ہے | غسل کے فرائض کتنے ہیں | اس کی شرائط | غسل کا طریقہ کیا ہے سنت کے م

LGBTQ+ Law Na Manzoor - Main Mard Hon Lakin Mujh Mein Feelings Aurat Wale Hain

Image
Mein Physically Mard Hon Lakin Mere Feelings Auraton Jaise Hain Agar koi physical mard hai aur ais ki feelings aurat wale hain tou Islam mein aise mard ko ijazat nahi de ja sakti ke wo apni nature tabdeel kare. Ais ka aurat banana haram hai. Ais ko apni feeling theak karni hon gi. Agar tabdeel nahi hoti hain tou phir Sabar kare dosray mardon ko kharab na kare. ایل جی بی ٹی کیو پلس قانون نا منظور - میں مرد ہوں لیکن مجھ میں فیلینگز یحنی سوچیں عورت جیسی ہیں ایک مرد جس کے جسمانی طور پر مرد ہے لیکن اس کی فیلینگز یحنی سوچیں عورت جیسی ہیں، اس کو عورت بننے کی اجازت نہیں ہے۔ اس کو اپنی عادتیں بدلنی ہو گی اگر نہیں بدلتی تو پھر صبر کرنا ہو گا۔ ایسے مرد کو دوسروں مردوں کو خراب کرنے کی اجازت نہیں دی جا سکتی ہے۔ Dailymotion Video - Mufti Tariq Masood Sahab Bayan / Speech |  مفتی طارق مسحود صاحب بیان / سپیچ

Dayoos Mardon Ka Apni Maanon Behnon Biwiyon Aur Betiyon Ko Ghair Mardon Ko Dekhana Kya Haram Hai?

Image
Dayoos Aur Beghairat Mardon Ka Apni Maanon Behnon Biwiyon Aur Betiyon Ko Ghair Mehram Mardon Ke Samne BeParda Karna Kya Najaiz Hai? / Dayoos Mardon Ka Apni Auraton Ko Beparda Karna Aur Ghair Mehram Mardon Ko Dekhana / Dayoos Mard Aur YouTube Beghairat aur Dayoos Mardon ka apni ghar ki auraton ko ghair mehram mardon ko dekhana Islam mein haram hai aur yeh bhut hi besharmi aur behayi ki baat hai. Agar aap ke Youtube Channel ke views kam aa rehe hain tou aisa mat karen ke apni ghar ki auraton ko dekhain. Kam kama lein lakin halal khain. Aise mein Allah barkat de de ga. دیوث مردوں کا اپنی ماؤں، بہنوں، بیویوں اور بیٹیوں کو غیر محرم مردوں کو دکھانا کیا حرام اور نا جائز ہے؟ دیوث اور بیغریت مردوں کا اپنی ہی گھر کی ماؤں، بہنوں، بیویوں اور بیٹیوں کو غیر محرم مردوں کو دکھانا حرام ہے۔ ایسے دیوث مردوں کو توبہ کرنی چاہیے۔ اگر آپ کا یوٹیوب چینل نہیں چل رہا تو ایسی گھٹیا اور بے غیرت حرکت نہ کریں۔ کم کمائیں لیکن حلال کمائیں وہ بھی غیرت کے ساتھ۔ اسی میں اللہ برکت دے دے گا۔ اللہ ہمیں اس بے غیرت

Beauty Parlour Aur Salon Mein Mard Ka Aurat Ko Tayyar Karna Kya Haram Hai | Ladies Beauty Parlour Mein Kya Ghalat Ho Raha Hai

Image
Mardon (Males / Men / Gents) Ka Beauty Parlour Aur Salon (Bridal Salon / Hair Salon) Mein Auraton (Females / Women / Ladies) Ko Tayyar Karna / Aaj Kal Ke Mardon Ke Najaiz Kam Beauty Parlor aur salon ya bridal salon, hair salon, etc., mein mardon ka auraton ko makeup karna, Dulhanon ko tayyar karna, sajana jaiz nahi hai. Ais amal ki hosla izfai na karen. Ain mardon ko mardon wale kam karne chahiye. بیوٹی پارلر اور سیلون میں مرد کا عورت کو تیار کرنا کیا حرام ہے؟ مردوں کا بیوٹی پارلر اور سیلون میں عورتوں کو تیار کرنا حرام اور نا جائز ہے۔ ان مردوں کو مردوں والے کام کرنے چاہیے۔ ان مردوں کی حوصلہ شکنی کرنی چاہیے تاکہ یہ عادتیں دوسرے کو مردوں نہ لگیں اور وہ خراب نہ ہو جائیں۔ Dailymotion Video - Mufti Tariq Masood Sahab Bayan / Speech |  مفتی طارق مسحود صاحب بیان / سپیچ

Aur Zina Ke Qareeb Bhi Na Jao

Image
Zina Ke Qareeb Mat Jao  / Zina Karna Tou Door Ki Baat Zina Ke Qareeb Bhi Nahi Jana Chahiye Quran mein Allah ne Zina ke qareeb bhi na jane ka Farmaya hai. Zina Allah ki nafarmani hai. Yeh ek Kabira gunah hai. Ais se sachi tauba karni chahiye. Agar ladka aur ladki dono razi bhi hon yah na bhi hon tou bhi yeh haram hai kyun ke phele Allah hai. زنا کے قریب بھی مت جاؤ ! اسلام میں زنا کے قریب بھی جانے سے روکا گیا ہے۔ لڑکا اور لڑکی راضی بھی ہوں تب بھی یہ جائز نہیں ہے کہ وہ زنا کر لیں۔ زنا سے عورت کی حقوق تلفی ہوتی ہے۔ اس کی محاشرے میں عزت نہیں ہوتی اور مرد اس سے بس خواہش پوری کرتا ہے اور جب اس میں خوبصورتی ختم ہو جاتی ہے تو اسے ٹشوپیپر کی طرح پھینک دیتا ہے ۔ زنا ایک کبیرہ گناہ ہے۔ اس سے بچنا چاہیے۔ اللہ ہمیں اس گناہ سے محفوظ رکھے۔ آمین! Dailymotion Video - Aur Zina Ke Qareeb Bhi Na Jao | Zina Ka Azab | Zina Ki Saza | Zina Se Bachne Ka Ajar| Zina Se Bachne Ka Tarika | Mufti Tariq Masood Sahab Bayan / Speech |  زنا کے قریب بھی مت جاؤ! | زنا کی سزا | زنا سے بچنے کا اجر | زنا سے بچنے کا

Na Mehram Ko Dekhna Kya Haram Hai?

Image
Na Mehram Ko Dekhne Ka Gunah / Saza / Na Mehram Ko Dekhna Kya Gunah Hai Ek Mard ke liye ek Ghair Mehram / Na Mehram Aurat ko dekne ka gunah aus waqt milta hai jab wo bad nazari kare ya fitne ka andesha ho. Achanak nazar par jaye tou aus par koi gunah nahi hai. Bila zaroorat na dekha jaye. Zaroorat ke waqt na mehram aurat ko dekh sakte hain jaise ke ek dukandar shop par aayi lady (Gahak) ko zaroorat ke tehat dekh sakta hai. Masal ke tor par apni dukan ki rakhwali ke liye ya price batane ke liye aur cheezain dene ke liye agar dekhne ki zaroorat ho. Job ke doran interview dete howay agar koi ladki interview le rehe hai tou communication ke liye dekh sakta hai agar fitne ka andesha no ho. albata Parda Aurat Par Farz hai ke wo proper libas mein ho aur aus ne apne aap ko covered kiya howa ho. Na mehram ko dekhne ki saza yeh milti hai ke insan depression ka shikaar ho jata hai aur dil ka sukoon Allah cheen leta hai. Ais liye ais gunah se jald iz jald tauba kar lene chahiye. Na Mehram

Kya Na Mehram Aurat Ko Chone Se Wazu Toot Jata Hai

Image
Kya Na Mehram Aurat Ko Hath Lagane Se Wazu Toot Jata Hai? Jamhoor ke nazdeek na mehram ya ghair mehram aurat ko chune se Wazu (Wudu) nahi toota hai lakin Imam Shafi Rahmatullah Alaih ke nazdeek wazu toot jata hai. Lakin agar na mehram ko chone se agar shehwat se ya beghair shehwat ke mazi nikal jaye tou wazu toot jata hai. نا محرم / غیر محرم عورت کو چھونے سے کیا وضو ٹوٹ جاتا ہے؟ جمہور کے نزدیک نا محرم عورت کو چھونے یا ہاتھ لگانے سے وضو نہیں ٹوٹتا ہے لیکن امام شافحی رحمتہ اللہ علیہ کے نزدیک وضو ٹوٹ جاتا ہے۔ لیکن اگر عورت کو چھونے سے شہوت یا بغیر شہوت سے مزی نکل جائے تو وضو ٹوٹ جاتا ہے۔ Dailymotion Video - Ask Mufti Tariq Masood Sahab - Aap Ke Masail Ka Hal - Masail Session |  آسک مفتی طارق مسحود صاحب | سوال و جواب سیشن | آپ کے مسائل کا حل

Mehangai Ko Control Karne Ka Tarika (Pakistan)

Image
Pakistan Mein Roz Baroz Barhti Hui Mehangai Aur Ais Ka Hal (Solution) / Inflation Ko Kaise Control Kiya Jaye Pakistan mein jo Mehangai (Inflation) hai ais par control karne ka tarika yeh hai ke aap hukumat (Government) par inhisaar karna chore dein aur khud kafeel (Independent) ban jain. Apna Solar System lagain. Apni sabziyan (Vegetables) ugain wagairah wagairah. Mehangai ka direct aur bhut zyada asar middle class family ya Darmiyane Tabqay par parhta hai jabkay ameer (rich) yah gareeb (poor) people par itna asar nahi parhta hai. پاکستان میں بڑھتی ہوئی مہنگائی اور اسے کنٹرول کرنے کا اصل طریقہ پاکستان جو مہنگائی بڑھ رہی ہے اسے کنٹرول کرنے کا طریقہ یہ ہے کہ آپ خود کفیل ہو جائیں اور حکومت پر انحصار کرنا چھوڑ دیں۔ اپنا سولر سسٹم لگائیں۔ اپنی سبزیاں اگائیں وغیرہ وغیرہ۔ مہنگائی کا براہراست اور بہت زیادہ اثر درمیانی طبقے پر پڑتا اور وہ پِس جاتا ہے جبکہ امیر اور غریب پر اس کا کوئی اتنا زیادہ اثر نہیں پڑتا ہے۔ Dailymotion Video - Mufti Tariq Masood Sahab |  مفتی طارق مسحود صاحب

Ghair Mehram / Na Mehram Ke Liye Dua Karna

Image
Na Mehram Ko Dua Mein Mangna Ghair Mehram / Na Mehram ke liye dua ki ja sakti hai lakin yeh munasib nahi hai. Dua mein khas tor par ais ladki ka nam lena munasib nahi hai. Jis ladki ko aap chahte hon ais ko dua mein ais tarah mangiye ke Ay Allah agar yeh mere haq mein baitar hai tou mujhe ais ko ata kar de. Lakin yeh dua karna ke Ay Allah yehi ladki mujhe mil jaye ghalat hai kyun ke aap Allah ko yeh batana chah rehe hain ke yehi mere haq mein baitar sabit ho gi jabkay Allah zyada baitar janta hai ke yeh aap ke haq mein baitar biwi sabit ho gi yah nahi. نا محرم کو دعا میں مانگنا نا محرم / غیر محرم کو دعا میں مانگا جا سکتا ہے لیکن یہ مناسب ہیں ہے۔ دعا میں خاص طور پر لڑکی کا نام لے کر مانگنا مناسب نہیں ہے۔ آپ اللہ سے اس طرح دعا مانگ سکتے ہیں کہ اے اللہ اگر یہ لڑکی میرے حق میں بہتر ہے تو اسے میری بیوی بنا دے۔ لیکن یہ دعا مانگنا کہ صرف یہی عطا کر دے غلط ہے کیونکہ آپ کو اللہ کو یہ کہ رہے ہیں کہ اے اللہ یہی بہتر ثابت ہو گئی جبکہ اللہ زیادہ بہتر جانتا ہے کہ یہ آپ کے حق میں بہتر ب

Na Mehram Ka Jhoota Khana Aur Peena

Image
Kya Na Mehrm Ka Jhoota Khana Aur Peena Islam Mein Jaiz Hai? / Na Mehram Ka Bachaa Howa Khana Aur Peena Shariat Ki Nazar Mein Ghair Mehram / Na Mehram ka jhoota khana aur peena ghairat ke khilaaf hai. Agar fitne ka andesha ho ya mohabbat barhne ka andesha ho tou ais amal se mana kiya jaye ga. Agar na mehram aurat ka bacha howa koi na mehram mard ya na mehram aurat kha le ya pee le tou yeh jaiz hai lakin na khana ya peena baitar hai. Albata zaroorat ke tehat khaya ya piya ja sakta hai. Jaise agar bhut zayda bhok lagi ho ya piyas lagi ho aur khane ya peene ke liye kuch bacha howa na ho tou majboori mein khaya ya piya ja sakta hai. غیر محرم / نا محرم کا جھوٹا کھانا اور پینا کیسا ہے؟ نا محرم کا جھوٹا کھانا اور پینا غیرت کے خلاف ہے۔ اگر فتنے کا اندیشہ ہو گا یا محبت بڑھنے کا اندیشہ ہو گا تو اس عمل سے منح کیا جائے گا۔ اگر کسی نا محرم لڑکی کا بچا ہوا کھانا کوئی نا محرم مرد یا نا محرم عورت کھا لے تو یہ جائز ہے لیکن غیرت کے خلاف ہے۔ نہ کھایا جائے تو بہتر ہے۔ البتہ ضرورت کے تحت کھایا جا

Astaghfirullah Alladzi La Ilaha Illa Huwal Hayyul-Qayyum Wa Atubu Ilayhi In Arabic Urdu English (Texts - Translation - Pictures / Images)

Image
Astaghfir Ullah-Alladhi La Ilaha Illa Huwal-Haiyul-Qayyumu, Wa Atubu Ilaihi / Astaghfirullah Alladzi La Ilaha Illa Huwal Hayyul Qayyum Wa Atubu Ilayhi Ki Fazilat / Meaning Ain kalmat ko parhne (Padhne) ki bhut zyada Fazilat hai. Ain Kalmat mein word “Astaghfirullah” ke parhne se ham apne Gunahon ki Allah se mafi mangte hain jis ki wajah se agar hamari maafi sachi ho tou Allah hamain maaf kare ga, hamain Rizq Ki Tangi Se Nijat ata kare ga, barish nazil farmaye ga, Aulad ata farmaye ga. Word “La Ilahaa Ila” mein Allah ki Wahdaniyat ka zikr hai aur ais ke parhne se Allah ki Wahdaniyat par iman pukhta hota hai. Word “Huwal Hayyul Qayyum” mein Allah ke Zaat ka bataya gya hai ke Allah hamesha Zinda aur Qaim rakhne wala hai jab ke baqi sab fanaa hone wale hain. Ais tarah ham maut ko yad karte hain aur ais dunya se raghbat khatam hote hai aur ham rohani tor par mazboot hote hain. Word “Atubu Ilayhi” mein tauba ka zikr hai ke ke ham Allah ke hazoor tauba karte hain kyun ke sirf Alla

Contact Us

Name

Email *

Message *

Copyright © 2024 IlamOne TV All Rights Reserved.